Contact me for Advertisement WhatsApp Follow Me!

Tanhai Poetry

Tanhai poetry, also known as the alone shayari, is a genre that expresses the feeling of loneliness. Here we are updating famous collection.


Tanhai Poetry

Tanhai Poetry

Tanhai poetry, also known as alone shayari, is a genre that explores the theme of loneliness, solitude, and the deep emotional experiences associated with being alone. In solitary poetry, poets often delve into the depths of human emotion, capturing feelings of sadness, longing, and introspection. These poems reflect the complexities of loneliness, portraying both the beauty and agony found in moments of solitude.


Tanhai Poetry

ہر وقت کا ہنسنا تجھے برباد نہ کر دے 
تنہائی کے لمحوں میں کبھی رو بھی لیا کر

Har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de
Tanhai ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar


Tanhai Poetry

تنہائی اس قدر ہے کہ
اب دل اور کچھ نہیں چاہتا۔

Tanhai itni hai ke
Ab dil aur kuch nahi chahta


Tanhai Poetry

صرف تمھیں بھولنے کے لئے اتنے سہارے ڈھونڈے
کھوکھلے قہقے، آنسو، تنہائی، محفلیں اور شاعری

Sirf tumhein bhoolne ke liye itne sahaare dhoonde
Khulay qahqay, aansu, tanhai, mehfilain aur shayari


Tanhai Poetry

تیرا پہلو ترے دل کی طرح آباد رہے
تجھ پہ گزرے نہ قیامت شب تنہائی کی

Tera pehlu tere dil ki tarah aabaad rahe
Tujh pe guzre na qayamat shab-e-tanhai ki


Tanhai Poetry

یوں نہ کہو کہ قسمت کی بات ہے 
میری تنہائی میں کچھ تمہارا بھی ہاتھ ہے

Yun na kaho ke qismat ki baat hai
Meri tanhai mein kuch tumhara bhi haath hai


Tanhai Poetry

میں جب بھی تنہائی چاہتا ہوں آپ کے پاس جاتا ہوں، جب میں خاموشی چاہتا ہوں آپ سے بات کرتا ہوں،
اور میں آپ سے اس وقت پیار کرتا ہوں جب میں دوسروں کو برداشت نہیں کر سکتا۔"
ایلف شفق
Main jab bhi tanhai chahta hoon, aap ke paas jaata hoon,
jab main khamoshi chahta hoon, aap se baat karta hoon,
aur main aap se us waqt pyaar karta hoon jab main dosron ko bardasht nahi kar sakta.


Tanhai Poetry

جِس نے تنہائی کی بانہوں میں گزاری ہو حیات 
تُو اُسے چھوڑ کے جانے سے ڈراتا کیا ہے
میری جیبوں میں محبّت کے ہیں سکّے لیکن 
آج کے دور میں ان سکّوں سے  آتا کیا ہے

Jis ne tanhai ki baanhon mein guzaari ho hayaat
Tu use chhod ke jaane se darta kya hai
Meri jebon mein mohabbat ke hain sikke lekin
Aaj ke dour mein un sikkon se aata kya hai.


Tanhai Poetry

دشت تنہائی میں جینے کا سلیقہ سیکھئے
یہ شکستہ بام و در بھی ہم سفر ہو جائیں گے۔

Dasht-e-tanhai mein jeene ka saliqa seekhein
Yeh shikasta baam-o-dar bhi hum safar ho jayenge.

Tanhai Poetry in Urdu

Tanhai Poetry in Urdu

پکارا جب مجھے تنہائی نے تو یاد آیا
کہ اپنے ساتھ بہت مختصر رہا ہوں میں۔

Pukara jab mujhe tanhai ne toh yaad aaya
Ke apne saath bohot mukhtasar raha hoon main.


Tanhai Poetry in Urdu

نہیں ہے اب کوئی شکایت تم سے
تو رکھ دوسروں کو خوش ہم تنہا ہی اچھے ہیں۔

Nahi hai ab koi shikayat tum se
Tu rakh doosron ko khush, hum tanha hi achhe hain.

Tanhai Poetry in Urdu

راس تنہائی بھی نہیں آتی
اور ہر شخص سے بیزار بھی ہوں۔

Raas tanhai bhi nahi aati
Aur har shakhs se bezaar bhi hoon.

Tanhai Poetry in Urdu

اب تو تنہائی کے لمحے بھی حسین لگتے ہیں۔
Ab to tanhai ke lamhe bhi haseen lagte hain


Tanhai Poetry in Urdu

کچھ تو تنہائی کی راتوں میں سہارا ہوتا
تم نہ ہوتے نہ سہی، ذکر تمہارا ہوتا۔

Kuch to tanhai ki raaton mein sahara hota
Tum na hote toh sahi, zikr tumhara hota.


Tanhai Poetry in Urdu

تجھ پر کھل جائے گی میری روح کی تنہائی بھی
میری آنکھوں میں کبھی جھانک کر تو دیکھا ہوتا۔

Tujh par khul jaaye gi meri rooh ki tanhai bhi
Meri aankhon mein kabhi jhaank kar to dekha hota.


Tanhai Poetry in Urdu

نہ کوئی ساتھ تھا میرے، نہ کوئی پاس ہے میرے
میں تنہا تھا، میں تنہا ہوں، مجھے تنہا ہی رہنے دو
میری یہ ذات بھی مٹی میری اوقات بھی مٹی
میں مٹی تھا، میں مٹی ہوں، مجھے مٹی ہی رہنے دو

Na koi saath tha mere, na koi paas hai mere
Main tanha tha, main tanha hoon, mujhe tanha hi rehne do
Meri ye zaat bhi mitti, meri auqaat bhi mitti
Main mitti tha, main mitti hoon, mujhe mitti hi rehne do.


Tanhai Poetry in Urdu

کیوں نہ آج کہیں تنہا بیٹھ کر
اپنے زندہ ہونے پر رو لیا جائے

Kyun na aaj kahin tanha beth kar
Apne zinda hone par ro liya jaaye.

Tanhai Poetry 2 Lines

Tanhai Poetry 2 Lines

اداسیاں ہیں جو دن میں تو شب میں تنہائی
بسا کے دیکھ لیا شہر آرزو میں نے

Udaasiyan hain jo din mein toh, shab mein tanhai
Basa ke dekh liya shehr arzoo mein ne.


Tanhai Poetry 2 Lines

تنہائی بہتر ہے جھوٹے لوگوں سے۔
Tanhai behtar hai jhootay logon se.


Tanhai Poetry 2 Lines

میری تنہائی کا مجھے گلہ نہیں
کیا ہوا جب کوئی مجھے ملا نہیں
پهر بھی دعا کریں گے آپ کے واسطے
آپ کو وہ سب ملے جو مجھے ملا نہیں

Meri tanhai ka mujhe gilah nahi
Kya hua jab koi mujhe mila nahi
Phir bhi dua karein ge aap ke wasta
Aap ko woh sab mile jo mujhe mila nahi.


Tanhai Poetry 2 Lines

اک تمہارے سوا کون ہے میرا یہاں
پھر تنہا کس کے سہارے چھوڑ جاتے ہو

Ek tumhare siwa kaun hai mera yahan
Phir tanha kis ke sahaare chhod jaate ho.


Tanhai Poetry 2 Lines

الجھے گا وہ خود سے ہر روز کئی بار
بھاگے گا دیکھے گا کہیں دستک تو نہیں ہے

Ulajhe ga woh khud se har roz kayi baar
Bhaage ga dekhe ga kahin dastak to nahi hai.


Tanhai Poetry 2 Lines

اس کو تمنا تھی ہمیں کوئی نہ دیکھے
ہم نے ہو کر تنہا انہیں خوشحال کر دیا

Is ko tamanna thi humein koi na dekhe
Hum ne ho kar tanha unhein khushhaal kar diya.


Tanhai Poetry 2 Lines

مت پوچھ کیسے گزرے دن اور کیسی گزری رات۔
بہت تنہا جیے ہیں ہم تجھ سے بچھڑنے کے بعد

Mat poochh kaise guzre din aur kaisi guzri raat
Bohot tanha jiye hain hum tujh se bichhadne ke baad.


Tanhai Poetry 2 Lines

خوابوں کی طرح بکھر جانے کو جی چاہتا ہے
ایسی تنہائی ہے کہ مر جانے کو جی چاہتا ہے

Khawabon ki tarah bikhar jaane ko ji chahta hai
Aisi tanhai hai ke mar jaane ko ji chahta hai.

Tanhai Shayari

Tanhai Shayari

ہم بھی پھولوں کی طرح اکثر تنہا ہی رہتے ہیں
کبھی خود سے ٹوٹ جاتے ہیں کبھی کوئی توڑ جاتا ہے

Hum bhi phoolon ki tarah aksar tanha hi rehte hain
Kabhi khud se toot jaate hain kabhi koi toot jaata hai.


Tanhai Shayari

تنہایوں میں سکون ہے صاحب
محفلوں میں دل ٹوٹ جاتے ہیں

Tanhaiyon mein sukoon hai sahib
Mehfilon mein dil toot jaate hain.


Tanhai Shayari

خود سے لڑتا ہوں، بگڑتا ہوں، منا لیتا ہوں
میں نے تنہائی کو اِک کھیل بنا رکھا ہے

Khud se ladta hoon, bigadta hoon, mana leta hoon
Maine tanhai ko ik khel bana rakha hai.


Tanhai Shayari

کبھی دشوار راہوں کا سفر تنہا نہ کرنا
کہیں دشوار راہوں میں زندگی کی شام نہ ہو جائے

Kabhi mushkil raahon ka safar tanha na karna
Kahin mushkil raahon mein zindagi ki shaam na ho jaaye.


Tanhai Shayari

آج پھر اس تنہا رات میں انتظار ہے اس شخص کا
جو کہا کرتی تھی تم سے بات نہ کرو تو نیند نہیں آتی

Aaj phir us tanha raat mein intezar hai us shakhs ka
Jo kehti thi tum se baat na karo to neend nahi aati.


Tanhai Shayari

کہنے لگى ہے اب تو تنہائی بهى مجھ سے
مجھ سے ہى کرلو محبت میں تو بےوفا نہیں

Kehne lagi hai ab to tanhai bhi mujh se
Mujh se hi kar lo mohabbat mein to bewafa nahi.


Tanhai Shayari

تنہایوں کا اک الگ ہی مزا ہے
اس میں ڈر نہیں ہوتا کسی کے چھوڑ جانے کا

Tanhaiyon ka ek alag hi maza hai
Is mein dar nahi hota kisi ke chhod jaane ka.


Tanhai Shayari

اپنی تنہائیوں سے گھبرا کر
بہت سے آئینے خرید لایا ہُوں

Apni tanhaiyon se ghabra kar
Bohot se aynay khareed laaya hoon.

Tanhai Sad Poetry

Tanhai Sad Poetry

آج اتنا تنہا محسوس کیا خود کو
جیسے کوئی دفنا کر چلا گیا مجھ کو

Aaj itna tanha mehsoos kiya khud ko
Jaise koi dafna kar chala gaya mujh ko.


Tanhai Sad Poetry

آسان نہیں ہیں یادوں کے دیپ جلانا
خون سے جلتی ہے یہ آگ کی تنہائی

Aasan nahi hain yaadon ke deep jalaana
Khoon se jalati hai yeh aag ki tanhai.


Tanhai Sad Poetry

ہم پہلے ہی جی رہے تھے اداس راتوں میں تنہا
آپ کے جانے کے بعد رونق اور بڑھ گئی

Hum pehle hi jeete the Udaas raaton mein tanha
Aap ke jaane ke baad Ronaq aur barh gayi.


Tanhai Sad Poetry

تو کہاں ہےکہ تیری یاد کے ہاتھوں اب تو
میرے ساتھ پریشان ہے میری تنہائی بھی

Tu kahan hai ke teri yaad ke haathon ab to
Mere saath pareshan hai meri tanhai bhi.


Tanhai Sad Poetry

دیکھو تو میرے ارد گرد کتنا ہجوم ہے
سوچو تو عین وسط میں تنہا کھڑا ہوں میں

Dekho to mere ird gird kitna hujoom hai
Socho to aeen mein tanha khara hoon main.


Tanhai Sad Poetry

تنہائی میں جینے کے شوقین ہیں ہم
کوئی ساتھ رہے تومجھے اچھا نہیں لگتا

Tanhai mein jeene ke shoqeen hain hum
Koi saath rahe to mujhe achha nahi lagta.


Tanhai Sad Poetry

اکیلے رہنا سیکھ چکا ہوں
اب دل نہیں لگتا محفلوں میں

Akelay rehna seekh chuka hoon
Ab dil nahi lagta mehfilon mein.


Tanhai Sad Poetry

میری روح کو تنہائی کی زنجیر پہنا کر
وہ میرے پاس تو ہوتاہے مگر میرا نہیں ہوتا

Meri rooh ko tanhai ki zanjeer pehna kar
Woh mere paas hota hai magar mera nahi hota.

Tanhai Poetry in text

Tanhai Poetry in text

سنا ہے ہر بات کا جواب رکھتے ہو تم
کیا تنہائی کا بھی علاج رکھتے ہو تم

Suna hai har baat ka jawab rakhte ho tum
Kya tanhai ka bhi ilaaj rakhte ho tum.


Tanhai Poetry in text

جاتے وقت نشانی کے طور پر
وہ مجھ کو تنہائی دے گیا

Jaate waqt nishaani ke tor par
Woh mujh ko tanhai de gaya.


Tanhai Poetry in text

ہر رات میرا دل خود سے یہ سوال کرتا ہے
ہر کسی کا ساتھ نبھانے والے خود کیوں تنہا رہتے ہیں

Har raat mera dil khud se yeh sawaal karta hai
Har kisi ka saath nibhane wale khud kyun tanha rehte hain.


Tanhai Poetry in text

تم کبھی بھی نہیں جان سکتے
بھیڑ میں تنہا ہونا کیسا ہوتا ہے

Tum kabhi bhi nahi jaan sakte
Bher mein tanha hona kaisa hota hai.


Tanhai Poetry in text

تنہائیاں کچھ اس طرح اپنے اندر بس گۂیں
ہم جہاں پہنچے ہمارے ساتھ ویرانے گئے

Tanhaiyan kuch is tarah apne andar bas gayin
Hum jahan pahunchen hamare saath veerane gaye.


Tanhai Poetry in text

ذوق تنہائی کچھ بڑھ گیا اتنا کہ
ہم نے خود کو خود سے ہی نکال پھینکا

Zauq tanhai kuch barh gaya itna ke
Hum ne khud ko khud se hi nikal phenka.


Tanhai Poetry in text

تنہائی کا گماں تو ہے مگر دل میں کوئی نہیں
  دنیا سے بھی ہمیں کوئی شکایت نہیں

Tanhai ka gumaan to hai magar dil mein koi nahi
Duniya se bhi humein koi shikayat nahi.


Tanhai Poetry

تنہا ہی رہنا ہے تو پھر کیا فائدہ محبت کا
محبت تو وہ ہے جو دلوں کو کرے قریب

Tanha hi rehna hai to phir kya faida mohabbat ka
Mohabbat to woh hai jo dilon ko kare qareeb.

You might also like best Alone Shayari.

Follow me on X,, Zube.

Post a Comment