Contact me for Advertisement WhatsApp Follow Me!

Sad Urdu Poetry

Sad Urdu poetry and Shayari has a rich tradition of presenting sad emotions. Here you can read and share an amazing collection of Sad poetry in Urdu.

 

Sad Urdu Poetry, Shayari

Sad Urdu Poetry 2 Lines

Sad Urdu poetry is a genre of literature in which deep emotions of sorrow, grief, and heartbreak are beautifully created. It is an art form that is loved and adored by people of all ages and cultures, especially in South Asia.

Urdu Shayari has a rich tradition of presenting sad emotions. The beauty of Urdu poetry lies in its ability to capture the nuances of human emotions and sad Urdu poetry is a testament to this fact.

Here you can read and share an amazing collection of  Sad poetry in Urdu.


Sad Urdu Poetry - Shayari

Aaj ki raat tou yaadon ka sahara bhe nahai
Aaj ki raat tanha na chood mujhy.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Parsaon k jahan mein ay dil
Aik tu, aur main he kharab nikly.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Ghalt intikhab
Chehry ki ronaq cheen leta hai.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Hum dono mein piyar bahut tha
Keh leny sy kia hota hai!
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Kuch khone ki chah nahi
Khone ko kuch raha nahi.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Logon k dil jannat tou nahi, jo aap
Ic me rehny ky'liya khud ko thaka rahy hain.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Muskura kar nahi tajasus sy deikhiya muj ko
Ky ma jo pehle thi wo ab nahi rahi.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Na tum ko khabar hui na zamana smjh saka
Hum chupky sy kai baar tum par marr gaye.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Manzilon k khuwab dikha kar
Log raaston mein chood jaty hain.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Aaj sara din udaas guzra,
Abhi raat ka azaab baqi hai.
●_________________●

Deep sad poetry In Urdu

Sad Urdu Poetry - Shayari

Usy kehna badal gayi hun main
Ye bhe kehna tum ne badla hai.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Mohabbat ko bas raaz he rehny dou
Iski wazahat moat hoti hai.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Thi bhi tou kiya thi khuwaish meri
K wo ho tou sirf mera ho.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Aur kiya tum janty ho?
Tum meri zindagi ka sub sy khubsoorat hissa ho.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Wo kahy ankhein khol aur batein kar
Aur mery pass ikhtiyar na ho.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Raah-e-hayyat ki talkhiyan peety peety
Ab tou bht kadwy sy ho'gaye hain hum.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Mery hum'sukhn ka ye hukm tha k kalam us se main kam karu
Mery hont aisy silly k phir meri chup ne usko rulla diya.
●_________________●

Life Sad Poetry in Urdu

Sad Urdu Poetry - Shayari

Hmari tasveeryn bhe sarmaya-a-hayyat hain
Hum zaeefi mein dkhn gy jawani apni.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Tumhary baad jis ka jee chahy mujhy rakh ly
Jinaza apni marzi sy, kandha kahn bdlta hai.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Main ne darwazy py taala bhe laga kar deikha hai
Gham magar phir bhe smjh jaty hain k main ghar mein hun.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Sub apny sy lagty thy
Main bhe kitni saada thi.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Main dil sy utry huwy logon mein
Aksar baith tou jati hun magr guftugu nahi karti.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Koi shyy aik c nahi rehti,
Umer dhalti hai gham badlty hain.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Main kuch bhe nahin, na khush na gham'zda
Main bas bezaar hun,,,
Ic duniya sy, yahan k logon sy, in k riwajon sy.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Usy kehna,,
Meri sochein hirasan hain
Mery jazby pareshan hain
Pareshan hai mera dil bhi
Usy kehna,,,
Pehly sy kahin zyada
Kahin badh kar mujhy uski zaroorat hai.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Aur tum mujhy youn hairat'zda nazron se matt deikho
Kuch meri tarah sanmbhal jate hain saary marr nahi jaty.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Aur phir kabhi kabhi purani yaadein
Taaza hone par dum ghutny lagta hai.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Cheikhne lag gai andar ki udaasi mujh mein
Main ny roo roo kar tujhe itna pukara, yaar

Main tou ab bhe hun teri aankh sy ojhal manzar
Tou to ab bhe hai mujhy jaan sy piyara, yaara.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Ehsaan zindagi par kiya jaa rahy hain hum
Mann tou nahi phir bhe jiya jaa rahy hain hum.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Mujhy kiyun aziz'tar hai ye dhuwan dhuwan sa mosam
Ye hawa'y shaam-e-hijran mujhy raas hai tou kiyun hai.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Phir sy aik baar dil ko toor mery
Tujh pe kuch aitbaar baqi hai.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Aik shaks hai mujh mein
Jo khamosh bahut hai.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Tum mily he na hoty tou kitna acha hota
Mil k bichade he na hoty tou kitna acha tha

Hazaaron dard mily teri chahat sy
Kabhi dill lgaya he na hota tou kitna acha tha.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Mujhy yaad hai kabhi aik thy
Mgr aaj hum hain juda juda

Wo juda huay tou sanwar gaye
Hum juda huay tou bikhar gaye.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Udaas hun par tujh se naraaz nahi
Tery dil mein hun par tery paas nahi

Jhoot kahun tou sub kuch hai mery paas
Such kahun tou tery siwa kuch bhe nahi.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Teery deedar k lamhy bht qeemti thy jana
Hum agr aankh jhapkty tou khasara karty.
●_________________●

Sad Shayari in Urdu 2 lines

Sad Urdu Poetry - Shayari

Guzar rahi hai zindagi
Tum nahi tou na sahi.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Tum kahan tak karo gy dil'johi
Main tou aksar udaas rehti hun.
●_________________●

Sad Urdu Poetry


Sad Urdu Poetry - Shayari

Tum pe utri he nahi hijr ke andhi raatein
Tum ne deikha he nahi chaand ka kaala hona.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Ic hawaly se mian aap mery mohsin hain
Aap ne qurb diay hain to khuda yaad aya.
●_________________●

Sad Urdu Poetry - Shayari

Hum ny seikhy hain mohabbat mein mohabbat k asool
Sub se mushkil hai kisi ko apne ko apna rakhna.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Hazaar sajdy tou kar chuki hun
Qazaa tumhari mohabbaton mein

Main ab dikhawy ka koi sajda
Adaa karun ge tou kiya karun ge?

Bagair paani bhe koi machli
Kabhi reh saki hai bhall?

Main tujh ko khoo kar, kisi ke hokar
Bataa karun ge, tou kiya karun ge??
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Bas intizaar rehta hai tumhara
Kabhi sabr se tou kabhi be'sabri se.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Agr udaasi ke koe hadd hai
Tou smjh lo main ne paar karle.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Hum asmaan sar pe uthane waly
Khamosh rehne lagy hain deikho.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Kuch musaftein lambi thin kuch zindagi ne thaka deya
Kabhi aansoo'un mein mila sukoon tou kabhi qehqoun ne rulla deya.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Qehqa deikh kar mera faqeer ne kaha
Sadqa deya karo apni udaasi ka.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Mery khiyal ki parwaaz bas tumhe tak thi
Phir us k baad mujhe koi asmaa na mila.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Ye Ehl-e-Duniya k dilchasb dhoky hain
Yahan kisi ko kisi se mohabbat nahi.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Aik he shaks pe khatm hogai mohabbat meri
Wo aik he shaks meri kul kaynat bann gaya.
●_________________●


Sad Urdu Poetry - Shayari

Aaj mujh ko bht burra keh kar
Aap ne naam tou liya mera.
●_________________●

thanks for reading Sad Urdu Poetry, here an amazing collection of Jaun Elia Poetry,

My Instagram Zube

2 comments

  1. 👍
  2. Awesome poetry