Islamic Quotes in UrduIslamic quotes in Urdu are a source of inspiration and motivation for millions of people around the world. These quotes provide deep insight into the teachings of Islam and help Muslims understand the essence of their faith. Here you can read, share and copy paste best 50+ Urdu Islamic quotes.
Jwani ke ibadat..!
Is sy pejly k matti ka badan khak bany bawazu hokar musally par jawani rakh do.
Darood Sharif..!
Har ibadat ka pata nahe hota k wo qubol hain ya nahe magar darood shareef aisi ibadat hai jo ada hoty he qabool ho jati hai.
Depression and Prayer...! Tum jisy Depression kehty ho wo tumhary namaz na parhny ka natija ha.
ASTAGFIRULLAH...! Dil sy nikly hoy ilfaz hazaron gunahon ko bhe mitta dety hain.
Waqt aur Ibadat...! Har chez apny waqt par he achi lagti hai, neki kamany ka waqt jawani hai. Afsosnak bat hai k hum neki us waqt karty hain jab burai k qabil nahe rehty.
Namaz...! Aik namaz mein agli namaz ke tofeeq mangny sy behter koi dua nahe.
Sabar...! Sabar k sath us k faislon ka intizaar karo aur be'fikar ho jao.
Allah sy mangna..! Allah deri unhe k lea karta hai jin ka mangna usy by'hadd pasand aa jata hai.
Allah sy rishta..! Allah sy rishta itna mazboot karo k tumhein kisi aur k sahary ke talab he khatam ho jay.
Tahajjud..! Shifa ban jaty hain wo aansu jo tahajjud me bahay jaty hain, Kun kehta hai Allah aur aik pal mein muqaddar badal jaty hain.
Moat ke Aarzoo..! Kiyun logon ko marna asan lagta hai. Kiya Qabar, Hashar, Hisab Kitab sub mazaq lagta hai.
Allah ka zikar..! Aur dilon ka sukoon to Allah Pak k zikar mein hai.
Islamic Heart Touching Quotes In Urdu text
Tanhiyan..! Jin logon ke tanhiyan pak hoti hain jnki duayn kabhi radd nahe hotin.
Allah sunta hai..! Tum samandar ke gehrai sy pukaro gy Allah wahan bhe tumhari suny ga.
Namaz..! Har wo shaks be-wafa aur na-qable aitbar hai jo Namaz nahe parta.
Sukoon..! Aur sukoon pata hai kiya hai? Akely baity kar Rab sy guftugu karna.
Moajza..! Kahani ka mukamal hona abhi baqi hai azmaish k baad moajza hona abhi baqi hai.
Kuch Rishty..! Kuch rishty ALLAH Pak khud khatam karwata hai taa k hamari zindagi kharab na ho saky beshak wo jo karta hai behter karta hai.
Thokar..! Ghabrana nahe... Thokar bhe inhi ko lagti hai jin ko Rab ny thamna hota hai.
Dua..! Agar qismat ka likha he sub kuch hota to ALLAH Pak kabhi hamein dua mangna na sikhata.
Namaz..! Namaz parhny sy sirf duniya ke mushkalein he khatam nahe hotin bal'k moat k baad ke manazil bhe asan ho jati hain.
Shareek-e-Hayyat..! Sirf khubsoorat larki sy shadi kar k ap ghar mein decoration peace to la sakty hain lekin ghar basany k liya shareek-e-hayyat ka naik seerat, deendar, ba parda aur haya dar hona lazim hai.
Namaz..! Namaz bojh nahe bal k tumhary bojh ko halka karny ka zariya hai.
Thak gaye ho? Deikho pareshan mat hona. Wo apny bandey ko musalsal takleef me nahe rakhta, rahtein jald naseeb hon ge. InShaa Allah.
Islamic Quotes in Urdu 2 lines
Surah Rehman..! Jab dil udas ho aur wajah bhe samajh na aa rahi ho to Surah-Rehman parh lea karo dil ko sukoon aa jay ga.
Yaqeen..! Jin ka yaqeen arsh waly par ho wo farsh walon ke baton par dil chota nahe karty.
Mayus ho? Yahan yun mayus baithny ka kea fyda? Jab wahan Allah tumhari pukar ka intezar kar raha hai.
Azmaish aur Sajda..! Taweel sajdy azmaishon ka dorania mukhtasir kar dety hain.
Dua ke Taqat..! Dua ke taqat ko kabhi kam na smjhein taqdeer aur qismat sy ziyad taqat dua mein hoti hai.
Dard..! Dard kitna bhe ho ALLAH Pak k aagy rony sy sukoon mein badal jata hai.
Sajda..! Agar sajda na hota to hum in tamam dukhon mein ghir kar marr jaty jinhein hum ALLAH Pak k siwa kisi sy nahe keh sakty.
Jannat..! Sirf namaz roza k badly jannat nahe milti makhlooq-e-khuda ka ehsaas bhe karna parta hai.
Tahajjud ka safar..! Tahajjud k waqt insan ALLAH k bahut qareeb hota hai, itna k apni har dua poori karwa sakta hai.
Yaqeen..! Tum bas ALLAH Pak par Yaqeen rakho kesy mily ga ye sochna tumhara kaam nahe.
Jis Rab ne dono jahano ko samait rakha hai wo tumhein kesy bikharny dy ga.
Islamic Quotes in Urdu about tahajjud
Tahajjud..! Tahajjud parhny walon ke to wo duayn bhe qabool ho jati hain, jin ka zikar unhon ny kabhi apny aap sy bhe nahe kea hota.
Tahajjud ka sajda..! Yunhi to nahe paa lea Tahajjud ka sajda tum ne kuch to aisa hai na-mumkin jo tumhary lea Mumkin hony wala hai.
Allah k sath taluq..!
Allah k sath taluq to aisa hona chaia k aadmi apny kamry k andar palang par baitha ho aur usky sath guftugu kar raha ho, kabhi royae aur kabhi khoob muskaraye.
Sukoon..!
Tum jab sukoon ke kami mehsoos karo to toba karo kiyun k insan ko us k gunnah bechain rakhty hai.
Azmaish..!
Azmaish bhe ALLAH Pak ke taraf sy tumhary sabar ka imtihan hota hai.
Al Quran..!
Quran kehta hai k.., aur jald he ALLAH Pak aap ko itna dy ga k aap khush ho jao gy.
Namaz..!
Jo sajdon mein rota hai usy taqdeer par rona nahe parta.
Jawani ke ibadat..! Aur mery ALLAH Pak ko jawani ke ibadat bahut pasand hai.
Quran Pak..; Quran pak ke khubsorti ye hai k ap is paigam ko badal nahe sakty han magar wo aap ko badal sakta hai.
ALLAH Pak ke atta,, tum wo mangty ho jo tumhein acha nazar aata hai aur ALLAH Pak tumhein wo atta karta hai jo tumhary lea acha hota hai.
ALLAH ke Mohabbat,, ALLAH ke mohabbat ka ndaz bhe nirala hai sub kuch dy kar kehta hai, hai koi mangny wala?
Umeed aur mayusi,, Umeed aadhi zindagi hai aur mayusi aadhi moat hai.
Dukh,, Jis ne sukh mein shukar ka sajda ada kea us ne Dukh mein Rab ko bahut qareeb paya.
Mohabbat,, Kitni dilchasb baat hai na samandron ka malik ALLAH bas aik aansu sy Mohabbat karta hai.
Kon kehta hai khuda nazar nahe aata wahi to nazar aata hai jab koi nazar nahe aata.
Shikwa..; taqdeer k likhy par shikwa na kea karin aap itny aqalmand nahe k ALLAH Pak k irady samajh sakn.
What is Islamic Quotes in Urdu?The most important aspect of Islamic quotes in Urdu is that they convey the message of Islam in a language that is familiar to many Muslims. Urdu is widely spoken in Pakistan, India and other parts of the world, and has become an important language for Muslims. By using the Urdu language, Islamic passages become more accessible to those who may not understand Arabic, the primary language of the Qur'an. Following are the most inspiring Islamic quotes in Urdu: - Neki kar aur dariya mein daal" (Do good deeds and throw them into the river)
This quote encourages Muslims to do good deeds without expecting any reward. The message is that good deeds should be done for the sake of Allah and not for any other reason.- Rab tujh se mangti hai sadaa e khidmat, to khidmat karne mein na kar gurur o kibar" (Allah asks for your service, so serve humbly)
This quote illustrates the importance of humility in serving Allah. Muslims should not be proud of their good deeds but should humbly serve Allah.- Beshak Allah sub se bara hai" (Indeed, Allah is the greatest)
This quote emphasizes the supremacy of Allah. Muslims should always remember that Allah is the greatest and whatever they do should be for His pleasure.- Jis ki zubaan quran ki tilawat se geeli hojaye, Allah usay khairaat ki jazaa deta hai" (Whose tongue becomes moist with the recitation of the Quran, Allah rewards him with charity)
This quote illustrates the importance of reciting the Holy Quran. Muslims should recite the Quran regularly, Allah will bless them with His blessings.- Allah aik hai, us ki ibadat karo" (Allah is one, worship Him)
This quote emphasizes the Oneness of Allah. Muslims should worship only Allah and not associate anyone with Him.Islamic quotes in Urdu are a powerful source of inspiration and motivation for Muslims around the world. They provide a great way to understand the teachings of Islam and apply them in our daily lives. By reading and meditating on these passages, Muslims can gain a deeper understanding of their faith and become better people. ------ Thanks for reading ------
|