Contact me for Advertisement WhatsApp Follow Me!

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Hazrat Ali Quotes in Urdu and English is famous for its wisdom, insight and depth of understanding. Here are 70+ famous lines that illustrate this.

 

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Hazrat Ali Quotes in Urdu and English is famous for its wisdom, insight and depth of understanding. Here are 70+ famous lines that illustrate this.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Koi tum sy roth jaye phir wahi khud tum sy milny ko tarsy to usy kabhi mat khona kiyun k wo tum sy bht ziyada piyar karta hai.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Achy logon ka tumhari zindagi mein aana, Tumhari qismat hoti hai aur unhein sanmbhal kar rakhna tumhara hunar.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Ghuroor aur ghaflat ka nasha sharab sy bhe ziyada hota hai, jo is nashy mein mubtala hojata hai wo jaldi hosh mein nahe aata.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Dost ko dolat ke nigah sy matt deikho, wafa karny waly dost aksar ghareeb hoty hain.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Rishton ke Khubsurti aik dosry ke baton ko bardast karny me ha, By'Aib insaan talash karo gy to akely reh jao gy.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Hansi, Mazaq, Dushmni ke ibteda hai.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Jahan apki izzat na ho wahan matt jao chahy wahan khana apko sony ke palet aur chandi k chamach mein he kiyun na dea ja raha ho.

Hazrat Ali Quotes in Urdu
Hazrat Ali Quotes in Urdu

Ye zindagi do din ke hai aik din tumhary haq mein hai aur dosry din tumhary mukhalif, jis din tumhary haq mein ho us din Gharoor mat karna aur jis din tumhary mukhalif ho us din Sabar karna.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Apna sar oncha rakho k tum kisi sy nahe darte lekin apni nigahin neechy rakho taa k pata chaly tum aik ba'izzat gharany sy taluq rakhty ho.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Rizq k liya apna eman kharab matt karo kiyun k rizq insaan ko aisy talash karta hai jesy marny waly ko moat.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Logon k aibon sy is tarah ghafil ho jao jesy soty waqt tum duniya sy ghafil hojaty ho.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Insaniyat bht bara khzana hai, isy libas mein nahe insan mein talash karo.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Dukh mein kabhi bhe pishtavy k aansu na bahao kiyun k tum wo khush naseeb ho jis ko ALLAH ny azmaish k qabil smjha hai.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Kisi insan ko dukh dena itna asaan hai jitna samandar mein pathar phainkna magr ye koi nahe janta wo pathar kitni gehrai me gaya hai.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Kisi par bharosa karna hai to mukamal bharosa karo ya to tumhein aik acha dost mily ga nahe to aik sabaq.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Logon ko usi tarah muaaf karo jesy tum khuda sy umeed rakhty ho k wo tumhein muaaf kary ga.

Hazrat Ali Best Quotes in Urdu

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Insaan ko achi soch par wo inaam milta hai jo usy achy aamaal par bhe nahe milta kiyun k soch mein dkhawa nahe hota.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Teen insaan teen chezon sy mehroom rahyn gy, Ghusy wala sahi faisly sy, Jhoota izzat sy aur Jldbaaz kamyabi sy.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Tumharu nafs ke qeemat janat hai isy janat sy kam qeemat mein na bechna.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Jab tumhari mushkilat had sy barhny lagy to smjh lo ALLAH tumhein koi buland muqam deny wala hai.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Jab aqal pukhta hojati ha to baten km hojati hain.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Na'Mukamal ilm fsad paida karta hai.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Zindagi is tarah bsar karo k deikhny waly tumhary dard k bjaye tumhary sabar py rashk karn.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Kabhi bhe kamyabi ko dimagh aur nakami ko dil mein jgah na do, kiyun k kamyabi dimagh mein takabur aur nakami dil mein mayusi paida karti hai.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Shareer insaan mein koi achi baat deikho to is sy dhoka na khao aur shareef insaan sy koi ghalti sarzad hojay to is sy nafrat na karo.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Waqt aur dolat do aisi cheezain hain jo insan k ikhtiyar me nahe, waqt insan ko majbur aur dolat maghroor bana deti hai.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Is duniya mein tum bhe mehman ho aur tumhari aarzoyen bhe.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Khushgawar tareen zindagi us shaks ke hai jo ALLAH k taqseem karda rizq par razi ho.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Sab sy bara aeib ye hai k tum kisi par wo aeib lagao jo khud tum mein mojood ho.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Khuda ko naraz kar k logon ko razi na karo kiyun k logon k badly dosry log mil sakty hain lekin Khuda k badly dosra Khuda nahe mil sakta.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Us Khuda sy darty rahi jis ke sifaat ye hai k, Agar tum baat karo to wo sunta hai, Agar dil mein rakho wo janta hai.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Khubsurti aik naimat hai lekin sub sy khubsoorat aapki zuban hai chahe to dil jeet ly, Chahyle to dil toor dy.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Insaan k jism ka sub sy khubsoorat hissa dil hai agr yehi saaf na ho to chamakta chehra kisi kaam ka nahe.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Aisa bht kam hota hai k jaldbazi karny wala insaan nuqsan na uthaye aur aisa ho nahe sakta hai k sabar karny wala nakam hojaye.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Us shaks ko kabhi matt ganwana jisky dil mein tumhary liya Mohabbat, Izzat, Fikar, aur Chahat ho.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Kabhi tum dosry k liya dil sy dua mang kar to deikho tumhein apny liya mangny ke zarorat nahe pary ge.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Duniya ka sab sy khubsoorat poda Mohabbat ka poda hai jo zameen mein nahe dilon mein ugta hai.

Hazrat Ali Quotes on Love, Friendship, and Life

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Us sy zaroor maafi mango jisy tum chahty ho,, Usy matt chodo jo tumhein chahta hai,, Us sy kuch matt chupao jo tum py aitbar karta hai.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Zillat uthany sy behter hai k takleef uthao.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Insaan ke tamam pareshaniyan do baton ke wajah sy hain, "Taqdeer sy ziyada chahta hai aur waqt sy pehly chahta hai."

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Tooba rooh ka ghusal hai jitni baar ke jaye rooh mein nikhar paida hota hai.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Baat tameez sy aur aitraz daleel sy karo kiyun k zuban to haiwano ke bhe hoti hai mgr wo ilm aur saleeqy sy mehrom hoty hain.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Wo gunah jiska tumhein ranj ho us neki sy behter hai jis sy tum mein gharoor paida hojaye.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Khuda sy jab bhe dua mango, to Muqadar mango aqal nahe kiyun k main ny bahut sy aqal walon ko muqadar walon k darr par deikha hai.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Kisi ka sath chorny sy pehly aik baar zaroor sochna k abtak usky sath kiyun thy.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Lafz insan k ghulam hoty hain lekin bolny sy pehly tak, bolny k baad insan apny ilfaaz ka ghulam bann jata hai.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Jab mera jee chahta hai k main apny Rab sy baat karun to main Namaz parhta hun aur jab mera jee chahta hai k mera Rab mujh sy baat kary to main Quran parhta hu.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Har subah jaldi uth kar apny kaam kaj mein mashgool hojo, Saadat paa jao gy.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Agar logon ko izzat dena aur muaaf karna tumhari kamzori hai to tum duniya k sab sy taqatvar insan ho.

Hazrat Ali Best Quotes

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Mohabbat door k logon ko qareeb, aur adawat qareeb k logon ko door kr deti hai.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Insan ke jahalat is sy barh kar aur kiya hogi k wo apni qadr-o-manzilat nah pechan paye.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Us shaks mein hargiz dilchasbi na lo jo tum sy doori ikhtiyar karta ho.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Apno ko hamesha apna hony ka ehsas dilao warna waqt ap k apno ko ap k bagair jeena sikha dy ga.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Doston k gham mein shamil huwa karo hr haal mein lekin, Khushiyon mein tab tk na jana jb tk k wo khud na bolayn.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Achy logon ke aik khoobi ye bhe hoti hai k unhein yaad rkhna nahe parta wo yaad he rehty hain.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Narazgi aur judai teen din sy ziyada nahe hono chayea.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Khubsurti ke kami ko ikhlaq poora kr skta hai mgr, Ikhlaq ke kami ko Khubsurti poora nahe kr skti.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Momin k liya hr wo din Eid ka din ha jis din wo gunah na kr saky.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Main janat k shouq mein ibadat nahe krta, ye tijarat ha aur na he Jahanum k khouf sy krta hu k ye ghulami ha, Ma sirf aur sirf is liya ibadat krta hu k wo ibadat k laiq ha.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Kisi ka aeib talash karny waly ke misaal us makhi jesi hai jo sara khubsoorat jism chour kr sirf zakhm pr he baithte ha.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Dosti krna itna asaan ha jesy matti sy matti par matti likhna lekin Dosti nibhana itna mushkil ha jesy pani sy pani par pani likhna.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Insan ka apny dushman sy inteqam ka sab sy acha tareqa ye ha k wo apni khubiyun me izafa kary.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Duniya k har hakim sy nafrat usky zulm ke wajah sy ke gai hai jab k main wo hakim hu jis sy dushmni isky adal ke wajh sy ke gaye.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Logon sy yaad na karny ka shikwa matt karo kiyun k jo insan Rab ko bhool skta ha wo sb ko bhool skta ha.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Kabhi kisi k samny apni safai paish na kro kiyun k jisy tum pr yaqeen ha usy zaroorat nahe aur jisy tum pr yaqeen nahe wo many ga nahe.

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Jo shaks tumhari nazron sy tumhari zaroorat smjh nahe skta us sy kuch mang kr khud ko sharminda na karo.,

Hazrat Ali Quotes in English

  1. "The tongue is like a lion, if you let it loose, it will hurt someone."
  2. "The best action of a great man is to forgive and forget."
  3. "Anger begins in madness and ends in remorse."
  4. "Patience is the fruit of faith, and the essence of worship."

  5. "One true friend is better than a thousand relatives."
  6. "A wise man always has something to say, while a fool always needs something to say."
  7. "If poverty were a human, I would kill him."
  8. "Live among people in such a way that if you die, they weep over you and if you live, they crave your company."
  9. "The most beloved of people to Allah is the one who is most beneficial to people."
  10. "Do not let your difficulties fill you with anxiety; because, only in the darkest nights that stars shine more brightly."
  11. "He who trusts no one, no one trusts him."
  12. "Do not talk about your good deeds, for Allah knows them and Allah alone knows them."

Hazrat Ali History in Urdu

حضرت علی رضی اللہ عنہ نبی پاک صلی اللہ علیہ والہ وسلم کے چچا زاد بھائی تھے۔ 
حضرت علی المرتضی نبی پاک صلی اللہ علیہ والہ وسلم کے چچا ابو طالب کے بیٹے تھے۔

ایک روایت میں آتا ہے کہ حضرت علی المرتضی کی والدہ جب خانہ کعبہ کا طواف کررہی تھیں تو اس وقت ان کو پیدائش کی 
حاجت ہوئی تو آپ کو فوری طور پر خانہ کعبہ کے اندر لے جایا گیا جہاں حضرت علی رضی اللہ عنہ کی ولادت باسعادت ہوئی۔

اور ایک روایت کے مطابق حضرت علی رضی اللہ عنہ نے پیدائش کے بعد کافی دیر تک آنکھیں نہیں کھولیں لوگ بچے کو نابینا
 تصور کرنے لگے، اتنی دیر بعد نبی پاک صلی اللہ علیہ والہ وسلم تشریف لائے تو آپ صلی اللہ علیہ والہ وسلم کی گود میں 
حضرت علی کو دیا گیا تو حضرت علی رضی اللہ عنہ نے اپنی آنکھیں کھولیں اور اس طرح دنیا میں علم کا ایک نیا باب روشن ہوا۔

حضرت علی رضی اللہ عنہ کی پرورش نبی پاک صلی اللہ علیہ والہ وسلم نے خود فرمائی۔
روایت کے مطابق جب نبی پاک صلی اللہ علیہ والہ وسلم نے اعلان نبوت کیا تو حضرت علی المرتضی بچوں میں اسلام قبول 
کرنے والوں میں سب سے پہلے شخص تھے۔

غزوہ بدر سے لیکر غزوہ تبوک تک نبی پاک صلی اللہ علیہ والہ وسلم نے جتنے بھی غزوات میں شرکت کی ان تمام میں حضرت علی رضی اللہ عنہ نبی پاک صلی اللہ علیہ والہ وسلم کے شانہ بشانہ تھے۔

حضرت علی رضی اللہ عنہ نے نبی پاک صلی اللہ علیہ والہ وسلم سے بہت وسیع علم حاصل کیا اور
اللہ کے نبی حضرت محمد صلی اللہ علیہ والہ وسلم نے فرمایا کہ میں علم کا شہر ہوں علی المرتضی اسکا دروازہ ہے۔
حضرت علی کہتے تھے کہ میری ایک ہی حسرت ہے جتنا میرے پاس علم تھا اتنا کسی نے سوچا نہیں اور جتنا میں سخی تھا اتنا کسی نے مانگا نہیں۔

روایت میں آتا ہے کہ حضرت علی جب جنگ کو نکلتے تھے تو ان کے ایک بازو کی طرف جبرائیل علیہ السلام اور دوسرے
 بازو کی طرف میکائیل علیہ السلام ہوا کرتے تھے اور حضرت علی رضی اللہ عنہ کو شیر خدا کہہ کر مخاطب کیا کرتے تھے۔
حضرت علی رضی اللہ عنہ کے پاس دو منہ والی تلوار تھی جسے ذوالفقار کہا جاتا ہے۔

Hazrat Ali Shahadat (Martyrdom)


حضرت علی المرتضی کرم اللہ وجہہ الکریم کو فجر کے وقت ایک خارجی عبدالرحمن عرف ابن ملجم نے سر پر تلوار کی ضربیں لگا کر شہید کیا۔

حضرت علی رضی اللہ عنہ کے انصاف کا یہ عالم تھا کہ آپ نے فرمایا اگر میں تلوار کی ایک ضرب سے شہید ہوگیا تو اسے بھی ایک ضرب لگانا اگر بچ گیا تو اسے چھوڑ دینا اور اگر یہ مارا گیا تو اسکی لاش کی بے حرمتی نہ کرنا اور اسکے جسم کے اعضاء نہ کاٹنا کیونکہ اللہ پاک کو جسم کے اعضاء کاٹنے والا سخت ناپسند ہے۔
چنانچہ تین دن زخمی رہنے کے بعد مولا علی شیر خدا اکیس رمضان المبارک کو شہید ہوگئے۔

حضرت علی رضی اللہ عنہ کی شہادت کے اگلے دن امام حسن رضی اللہ عنہ نے خطبہ دیتے ہوئے فرمایا آج تم میں سے حکمت اور علم کا ایسا باب بند ہوا ہے جو نہ اس سے پہلے آیا اور نہ اسکے بعد آئے گا۔

روایت کے مطابق اللہ پاک نے حکمت کے دس باب بنائے تھے جس میں سے ایک باب پوری کائنات کو عطا کیا گیا جبکہ نو باب حضرت علی رضی اللہ عنہ کو عطا کیئے گئے۔

نبی پاک صلی اللہ علیہ والہ وسلم نے فرمایا علی جس نے تم سے بغض رکھا اس نے مجھ سے بغض رکھا اور جس نے مجھ سے بغض رکھا اس نے اللہ سے بغض رکھا۔

نبی پاک صلی اللہ علیہ والہ وسلم نے فرمایا کہ اے علی المرتضی کیا تم جانتے ہو تم سے محبت رکھنے والے جنت میں بھی جائیں گے اور جہنم میں بھی، جہنم میں جانے والے وہ لوگ ہوں گے جو حد سے تجاوز کرجائیں گے جنکا نبی پاک صلی اللہ علیہ والہ وسلم نے ذکر فرمایا تھا۔

You might also like :-

.
My Facebook account :- Zube

Post a Comment